Wednesday 13 July 2016

How to make Microsoft account easily.


How to make Microsoft account. Follow easy steps.


Microsoft Account Banana Kyo Jaruri Hai ?

Yadi aap Microsoft ki service use karna chahte hai to aapko is par account banana bahut jaruri hai. Jaisa ki me upar bhi bata chuka hu ki yadi aap ek Blogger hai aur aap apna career blogging me banana chahte hai to aapke liye to is tarah ka account hona must hai. Kyonki iske bina aap apne blog ya website ko Yahoo ya Bing webmaster tool me submit nahi kar sakte hai.

Yadi aap Microsoft se related service jaise MSN, Outlook, Office online, OneDrive aur Xbox Live etc use karna chahte hai to bhi aapka microsoft par account hona bahut hi important hota hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki yah ek trusted aur old platform hone ke hi sath sath bahut hi secure mana jata hai.


Jyadatar is tarah ke account ka use professional user hi apne official work ke liye karte hai security reasons ki vajah se. Vaise India me jyadatar Gmail ka use kiya jata hai lekin yadi ham India se bahar ke country ki baat kare to sabse jyada Outlook, MSN ya bing jaisi services ka upyog bahut jyada hota hai.

Ab mujhe lagta hai aap samajh gaye honge ki microsoft account banana kitna jaruri hota hai aur yadi aap blogger hai tab to aap jarur hi samajh gaye honge. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki how to make a microsoft account.

Microsoft account sign up kaise kare ?
Yadi aap is platform par apna account create karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko  follow kare –


Step: – 1

Sabse pahle login.live.com par click kare.


Click on create one .

Step: – 2

Ab aapke samne ek new page open hoga jisme aapko ek bada sa Form dikhai dega jise aapko apna account banane ke liye sahi tarike se fill karna hoga .





First name wale field me apna starting ka naam bhariye.
Last name wale field me apna surname fill kariye.

User name wale field me apna E-mail ID daliye (Aap Gmail ID ya Yahoo ki email ID fill kar sakte hai).
Password Field me Strong password hi dale jaise  ex. Manoj@4575
Reenter password field me dubara se vahi password bhare.
Country/region field me apni Country select kare jaise India, Pakistan, Nepal etc.
Birthdate wale field me apni date of birth select kare.
Gender wale field me apna Gender select kare. Yadi aap Female hai to female aur Male hai to Mail select kare.
Country code me apni country ka code select kare, jaise India (+91), Pakistan (+92) etc.
Phone number wale field me apna real Mobile No. dale.
Enter the characters you see wale field me jo captcha code bhare jo upar show ho raha ho.
Ab last me Create account par click kar de.


Step – 3

Ab aapke samne ek new window open hogi jisme aapse aapke dwara provide kiye gaye E-mail address ko verify karne ke liye bolega.




Apne jo email id form dali thi us email id ko login kariye aur inbox me Microsoft dwara send kiye gaye email ko open kare aur Verify button ya link par click kar de.



Step – 4

Ab aapke samne ek message show hoga jisme Ready to Go ! likha hoga aur aapke liye thanks likha hoga verify karne ke liye. Vahi par ek OK button bhi dikhai dega to Ok button par click kar de.

Congratulation !  Now you are done.
Visit my other wrbsite

www.Edutechweb.com

Stay connected for
Android tricks
Computer B tricks
Internet tricks
Security tricks
Technology
Blogger tricks
Google tricks
And much more.

No comments:

Post a Comment